Mere zakhm bahut gehre hai, Kuch naye hai aur kuc | English Poetry

"Mere zakhm bahut gehre hai, Kuch naye hai aur kuch hare hai. Main thak chuka hu ab chalte chalte, Ankho ke niche kaale nishan thehre hai. Mujhse main ab nahi sambhalta, Thik hu, ye jhut ab bol nahi sakta. Mere kaanto ko ab bahar nikal maalik, Main akela inhe nikal nahi sakta. Ghutne tike hai, ankhein band hai, Zubaan khamosh hai, main bol nahi sakta. Mere andar pare hue har zakhm dekh le, Andar ki cheekhon ko main ibaadat me nahi badalta. Tera hissa hokar bhi tujhe dhund raha hu. Hath kaanp rahe hai mere, tere hath ko taras raha hu. ©Ananta Dasgupta"

 Mere zakhm bahut gehre hai, 
Kuch naye hai aur kuch hare hai. 

Main thak chuka hu ab chalte chalte, 
Ankho ke niche kaale nishan thehre hai.

Mujhse main ab nahi sambhalta,
Thik hu, ye jhut ab bol nahi sakta. 

Mere kaanto ko ab bahar nikal maalik, 
Main akela inhe nikal nahi sakta.

Ghutne tike hai, ankhein band hai, 
Zubaan khamosh hai, main bol nahi sakta. 

Mere andar pare hue har zakhm dekh le,
Andar ki cheekhon ko main ibaadat me nahi badalta.

Tera hissa hokar bhi tujhe dhund raha hu. 
Hath kaanp rahe hai mere, tere hath ko taras raha hu.

©Ananta Dasgupta

Mere zakhm bahut gehre hai, Kuch naye hai aur kuch hare hai. Main thak chuka hu ab chalte chalte, Ankho ke niche kaale nishan thehre hai. Mujhse main ab nahi sambhalta, Thik hu, ye jhut ab bol nahi sakta. Mere kaanto ko ab bahar nikal maalik, Main akela inhe nikal nahi sakta. Ghutne tike hai, ankhein band hai, Zubaan khamosh hai, main bol nahi sakta. Mere andar pare hue har zakhm dekh le, Andar ki cheekhon ko main ibaadat me nahi badalta. Tera hissa hokar bhi tujhe dhund raha hu. Hath kaanp rahe hai mere, tere hath ko taras raha hu. ©Ananta Dasgupta

#MondayMotivation #upcoming #Shiva

People who shared love close

More like this

Trending Topic