Sochta hu kya hoga tere baad..??
Mein kya insaa bhi kahlaunga tere baad..?
Mein itra-itra kahke har khushi ko pukarunga,
fir bhi kya ashiyana mahak payega tere baad..?
Sab yaha chhod kar jane ko aamda hai,
bhala mujhse kaun nibhayega tere baad..?
Na manzil ki khwahish hogi,
Na raho ka nasha hoga,
Yeh safar bhi thahar jayega tere baad..??
Tere baad is qafir pe bhi
qahar nazil hoga,
us waqt-e-qayamat
shafa kaun karwayega tere
baad..?
Jis dil ki har dhadkan tu ho,
Wo dil jya dhadak payega tere baad..?
Jis shakhs ki shakhsiyat tu hai,
Kya koi use
*Aalam*
bulaya tere baad..?
tere baad...?