Dulhan aayi jab pehli baar
Uthane lage kaafi sawaal
Beta khana bana logi na
Safai toh aati hi hogi
Ghar ka bahar ka kaam sabhaal logi na
Bahu bhi boli fir ek baar
Khana toh bana letu hun main
Lekin agar namak ya mirch Kam ya jyada pade toh bata dena
Bahar na bol k muj se hi meri shikayat laga dena
Safai toh kar lete hun
Lekin agar kabhi bimaar padi toh
Mera hath jarur bata dena
Ghar ka bahar ka kaam toh kar lete hun
Lekin kabhi bahar se der se pahunchun toh
Der se aane ka ilzam lagane se pehle
Muje ek mauka deke apni baat rakhne dena
Maaji Pitaji main apna Ghar chod k aayi
Hi hun
Aapka ka Ghar basa ne Sambhalne k liye
Ek baar muje pehle Dil se Apna lena
#Nayi dulhan#sawal jawab#my first poem