Ab tumse baat nehi karti par yaado mai tumhare hi uljhi rehti hu
Meri har shayari mai zikr bas tumhara hi karti hu
Din mai na jane kitni dafa tumhari dp dekhti hu
Zoom kar kar ke tumhari wo pyari si muskan niharti hu
Tumhari ankhe mano mujhse kuch kehna chahti ho
Tumhe bhi meri yaad aati hai shayad ye baya karna chahti ho
Bar bar tumhara last seen check karti hu
Sach bolu..... haan main tumse be-inteha mohabbat karti hu
#message