"Karta nhi tu jo
tera dil kahta hai....
Karta hai tu jo
tujhse jamana kahta hai....
Kabhi dil ki bhi sun
Kyun tu khudse gumsum rahta hai....
Pana nahi hai kisi ko, uske layak ban
Mil jayega wo jise tu chahta hai....
Mat kar shikayat kisi se
Tujhe rab ne banaya,
tujhe rab chahta hai....
©Akash Mohan
"