Hatash na ho aise mere dost
Yah waqt Jeevan ka hissa hai
Ek din payega khwabo se jyada
Jo Teri Abhilasa hai
Rukawate yuhin nahin likhta uparwala
Ghadi ye pariksha ki hai
Uparwale ko bhi pata chalne de
Kya Teri paribhasa hai
Bana rah atal lakshya par
Tera daur aane Wala hai
Tera daur aane Wala hai!!
#daur