Year end 2023 Vaqt teji se karvate badal rha hai , | English Poetry

"Year end 2023 Vaqt teji se karvate badal rha hai , har lamha apni chal se dhal rha hai kuch pane k liye aj k palo ko kyu gavana, kya pta jise pane k liye gava rhe ye vaqt kal vo rahe na rahe...... jo aj hai jo pas hai ji lo uske sath sare pal, kya pta kal vaqt hi na mile...... ye zindagi to aj me jine ka naam hai, har koi yaha kuch pane me gumnam hai rukta nahi hai vaqt ye bas chal rha hai har lamha apni chal se dhal rha hai .... beete hue vaqt me, kuch kho gya to kuch mil gya, kuch chhut gya to kuch hath me aa gya , kuch ham sikh gye kuch hamne sikha diya, kuch pura ho gya kuch abhi adhura rah gya, rone me,hasne me, gane me,ruthne -manane me jo in sabme sath rahe hai jo kal the aur aj bi hai, tham kar unka hath phir chale ham , ek karvaan bnane asman k tale ham.. dhero khushiyan liye ye vaqt machal rha hai har lamha yha apni chal se dhal rha hai.... ©Tanya gupta"

 Year end 2023 Vaqt teji se karvate badal rha hai ,
har lamha apni chal se dhal rha hai

kuch pane k liye aj k palo ko kyu gavana,
kya pta jise pane k liye gava rhe ye vaqt 
kal vo rahe na rahe......
jo aj hai jo pas hai ji lo uske sath sare pal,
kya pta kal vaqt hi na mile......
ye zindagi to aj me jine ka naam hai,
har koi yaha kuch pane me gumnam hai
rukta nahi hai vaqt ye bas chal rha hai 
har lamha apni chal se dhal rha hai ....

beete hue vaqt me,
kuch kho gya to kuch mil gya,
kuch chhut gya to kuch hath me aa gya ,
kuch ham sikh gye kuch hamne sikha diya,
kuch pura ho gya kuch abhi adhura rah gya,
rone me,hasne me, gane me,ruthne -manane me
jo in sabme sath rahe hai jo kal the aur aj bi hai,
tham kar unka hath phir chale ham ,
ek karvaan bnane asman k tale ham..
dhero khushiyan liye ye vaqt machal rha hai
har lamha yha apni chal se dhal rha hai....

©Tanya gupta

Year end 2023 Vaqt teji se karvate badal rha hai , har lamha apni chal se dhal rha hai kuch pane k liye aj k palo ko kyu gavana, kya pta jise pane k liye gava rhe ye vaqt kal vo rahe na rahe...... jo aj hai jo pas hai ji lo uske sath sare pal, kya pta kal vaqt hi na mile...... ye zindagi to aj me jine ka naam hai, har koi yaha kuch pane me gumnam hai rukta nahi hai vaqt ye bas chal rha hai har lamha apni chal se dhal rha hai .... beete hue vaqt me, kuch kho gya to kuch mil gya, kuch chhut gya to kuch hath me aa gya , kuch ham sikh gye kuch hamne sikha diya, kuch pura ho gya kuch abhi adhura rah gya, rone me,hasne me, gane me,ruthne -manane me jo in sabme sath rahe hai jo kal the aur aj bi hai, tham kar unka hath phir chale ham , ek karvaan bnane asman k tale ham.. dhero khushiyan liye ye vaqt machal rha hai har lamha yha apni chal se dhal rha hai.... ©Tanya gupta

# zindagi aj me jine ka nam hai ..

People who shared love close

More like this

Trending Topic