Tanya gupta

Tanya gupta

oblivious.....😇

  • Latest
  • Popular
  • Repost
  • Video

Chamak chandani bichhi hui hai aj charo or , niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor In tej havao ka har jhoka kar rha hai bechain , badla badla sa hai kuch inka rukh aaj ki rain.. in ujali ujali raton me chalti hai jab ye havaye , man karta hai sath chalu inke jaha khi le jaye. chale jab jab ye purvayi dil me machta hai shor.. aur chamak chandani bichhi hui hai aj charo or.. asman me kale kale badal chhaye hai ghanghor , aur usme ujle chand ko dekh ho gayi bhavvibhor.. kya karu ye man ata hi nahi aaj mere vash me, jana hai in havao ke piche aj jane kis talash me.. man kahe faili is chandani ka kan kan lu mai bator, aur niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor .. ©Tanya gupta

 Chamak chandani bichhi hui hai aj charo or , 
niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor

In tej havao ka har jhoka kar rha hai bechain ,
badla badla sa hai kuch inka rukh aaj ki rain..
in ujali ujali raton me chalti hai jab ye havaye ,
man karta hai sath chalu inke jaha khi le jaye.

chale jab jab ye purvayi dil me machta hai shor..
aur chamak chandani bichhi hui hai aj charo or..

asman me kale kale badal chhaye hai ghanghor ,
aur usme ujle chand ko dekh ho gayi bhavvibhor..
kya karu ye man ata hi nahi aaj mere vash me, 
jana hai in havao ke piche aj jane kis talash me..

man kahe faili is chandani ka kan kan lu mai bator,
aur niharu us chand ko baithkar mai jaise chakor ..

©Tanya gupta

# chamak chandani

11 Love

Ab Itna bhi mashroof na raha karo kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo ye duniya mahaj ek chhalavan hai yahan log bhul jate hai lakhon khubiyan, mashroof hote hai talashne me kamiyan. karni hogi khud se khud ko samajhne ki asha, yahi to hai bas sukoon se jine ki paribhasha. dur hokar iss chhalave ki duniya se kabhi, khud ko bi ankhe band karke nihara karo ! kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo.. ye zindagi ka safar bada suhana hai ek din bharkar apne sapno ki udaan, jeetkar muththi me karna hai asmaan. mat dekho khud ko dusron ki najron se, chamako jaise phli kiran in andheron me. pahchan kar apni kabiliyat ke gahno se, kabhi khud ko raj - raj ke sanvara karo ! kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo.. ©Tanya gupta

 Ab Itna bhi mashroof  na raha karo
kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo 

ye duniya mahaj ek chhalavan hai 
yahan log bhul jate hai lakhon khubiyan,
mashroof hote hai talashne me kamiyan.
karni hogi khud se khud ko samajhne ki asha,
yahi to hai bas sukoon se jine ki paribhasha.

dur hokar iss chhalave ki duniya se kabhi, 
khud ko bi ankhe band karke nihara karo !
kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo..

ye zindagi ka safar bada suhana hai
ek din bharkar apne sapno ki udaan,
jeetkar muththi me karna hai asmaan.
mat dekho khud ko dusron ki najron se,
chamako jaise phli kiran in andheron me.

pahchan kar apni kabiliyat ke gahno se,
kabhi khud ko raj - raj ke sanvara karo !
kuch vaqt khud ke sath bi gujara karo..

©Tanya gupta

# self love

12 Love

Year end 2023 Vaqt teji se karvate badal rha hai , har lamha apni chal se dhal rha hai kuch pane k liye aj k palo ko kyu gavana, kya pta jise pane k liye gava rhe ye vaqt kal vo rahe na rahe...... jo aj hai jo pas hai ji lo uske sath sare pal, kya pta kal vaqt hi na mile...... ye zindagi to aj me jine ka naam hai, har koi yaha kuch pane me gumnam hai rukta nahi hai vaqt ye bas chal rha hai har lamha apni chal se dhal rha hai .... beete hue vaqt me, kuch kho gya to kuch mil gya, kuch chhut gya to kuch hath me aa gya , kuch ham sikh gye kuch hamne sikha diya, kuch pura ho gya kuch abhi adhura rah gya, rone me,hasne me, gane me,ruthne -manane me jo in sabme sath rahe hai jo kal the aur aj bi hai, tham kar unka hath phir chale ham , ek karvaan bnane asman k tale ham.. dhero khushiyan liye ye vaqt machal rha hai har lamha yha apni chal se dhal rha hai.... ©Tanya gupta

 Year end 2023 Vaqt teji se karvate badal rha hai ,
har lamha apni chal se dhal rha hai

kuch pane k liye aj k palo ko kyu gavana,
kya pta jise pane k liye gava rhe ye vaqt 
kal vo rahe na rahe......
jo aj hai jo pas hai ji lo uske sath sare pal,
kya pta kal vaqt hi na mile......
ye zindagi to aj me jine ka naam hai,
har koi yaha kuch pane me gumnam hai
rukta nahi hai vaqt ye bas chal rha hai 
har lamha apni chal se dhal rha hai ....

beete hue vaqt me,
kuch kho gya to kuch mil gya,
kuch chhut gya to kuch hath me aa gya ,
kuch ham sikh gye kuch hamne sikha diya,
kuch pura ho gya kuch abhi adhura rah gya,
rone me,hasne me, gane me,ruthne -manane me
jo in sabme sath rahe hai jo kal the aur aj bi hai,
tham kar unka hath phir chale ham ,
ek karvaan bnane asman k tale ham..
dhero khushiyan liye ye vaqt machal rha hai
har lamha yha apni chal se dhal rha hai....

©Tanya gupta

# zindagi aj me jine ka nam hai ..

17 Love

Ubhar rha hai in ankho se tootate sapno ka pitara jab jab dekha is duniya me zindagi ka asli najara afsos ! ki apne hi sapno k jaal me fas gyii, tabhi to is duniya ki asliyat samajh na payi.. band ankho k piche ek alag hi thi duniya ki tasveer, hairan hu hoke rubaru khuli ankho se duniya ki taseer. ab sathi shabd ka matlab hi lgta hai nakara... jab jab dekha is duniya me zindagi ka asli najara bhut dard hai in andekhe jakhmo me , marham ki ummeed krna lagta hai gunah. sach khte hai ki is duniya me log akele ate hai aur akele hi jate hai, kash ! yha akele rahna bi sikh ke ate , to aj zarurat nii hoti kisi sathi ki panaah. sayad kuch to asan ho jata yha zindagi ka gujara.. ubhar rha hai in ankho se tootate sapno ka pitara.. ©Tanya gupta

 Ubhar rha hai in ankho se tootate sapno ka pitara
jab jab dekha is duniya me zindagi ka asli najara 

afsos ! ki apne hi sapno k jaal me fas gyii,
tabhi to is duniya ki asliyat samajh na payi..
band ankho k piche ek alag hi thi duniya ki tasveer,
hairan hu hoke rubaru khuli ankho se duniya ki taseer.
ab sathi shabd ka matlab hi lgta hai nakara...
jab jab dekha is duniya me zindagi ka asli najara 

bhut dard hai in andekhe jakhmo me ,
marham ki ummeed krna lagta hai gunah.
sach khte hai ki is duniya me log
akele ate hai aur akele hi jate hai,
kash ! yha akele rahna bi sikh ke ate ,
to aj zarurat nii hoti kisi sathi ki panaah.
sayad kuch to asan ho jata yha zindagi ka gujara..
ubhar rha hai in ankho se tootate sapno ka pitara..

©Tanya gupta

# hakiqat zindagi ki

10 Love

#walkalone  Mujhe bahut dur jana haii,
khud ki talaash me....
khud ke pas baithkr khub rona haii
khud se bahut sari bate kahna haii,
kuch der gahri shanti me rahna haii
zindagi ke pahelu samajhna haii,
kal ke agaaz me ....
Mujhe bahut dur jana haii,
khud ki talaash me...

kuch beete palo ko yad karna haii
us waqt se bahut kuch sikhna haii,
kuch sawalon k javab dhunna haii
ye zindagi ek bar khul kr jeena haii,
apne hi andaaz me....
mujhe bahut dur jana haii..
khii bhut dur jana haii.....

©Tanya gupta

#walkalone

63 View

Ye ahsas bhi kitna hai anjaan.. iss chahat ko ham kya naam de?? kab se adhuri si hai ek dastaan aaja milkar use aj anjaam de..! tum meri dhalti sham ka andaaj ho, tum mere ugate suraj ka agaaz ho, tum in chamakti ankhon ka raaj ho, tum dil ki gahrai me gunjati avaj ho, bankar ek duje ke liye pasbaan.. aaja zindagi ko pura ayaam de..! kab se adhuri si hai ek dastaan.. aaja milkar use aj anjaam de..! tere liye har jakhm ki marham ban jau, tere liye ek khubsurat si shaam ban jau, teri khushnuma subah ki yaam ban jau, teri sachchi khushiyon ka aalam ban jau, yun hi lekar khushiyon ka karvaan.. apne in khwabon ko ahatraam de..! kab se adhuri si hai ek dastaan.. aaja milkar use aj anjaam de..! ©Tanya gupta

 Ye ahsas bhi kitna hai anjaan..
iss chahat ko ham kya naam de??
kab se adhuri si hai ek dastaan 
aaja milkar use aj anjaam de..!

tum meri dhalti sham ka andaaj ho,
tum mere ugate suraj ka agaaz ho,
tum in chamakti ankhon ka raaj ho,
tum dil ki gahrai me gunjati avaj ho,
bankar ek duje ke liye  pasbaan..
aaja zindagi ko pura ayaam de..! 

kab se adhuri si hai ek dastaan..
aaja milkar use aj anjaam de..!

tere liye har jakhm ki marham ban jau,
tere liye ek khubsurat si shaam ban jau,
teri khushnuma subah ki yaam ban jau,
teri sachchi khushiyon ka aalam ban jau,
yun hi lekar khushiyon ka karvaan..
apne in khwabon ko ahatraam de..!

kab se adhuri si hai ek dastaan.. 
aaja milkar use aj anjaam de..!

©Tanya gupta

# anjaam de

11 Love

Trending Topic