Prabhakar Kumar

Prabhakar Kumar

Kumar tumne batlaya jo sabko ishq ka raaz-o-hunar; Ye tazurba tha ya kisse soche hain mehfil me sab...

  • Latest
  • Popular
  • Video

Kabhi kabhi puchhe hai ye dil mera, Kis tarah ye zindagi basar hogi; Tamaam umra bhatkenge kya gham ki galiyon me; Kya hume khushi na mayassar hogi. Kya koi aisha shakhs ab jahaan me nahi, Jo hume dil-o-jaan se pyaar kare; Humsafar ban har ek mod par ho saath mere, Mere baatoin mere waadoin par aitbaar kare. Khair chah aur haqiqat me jo fark hai wo, Ye zindagi har roz ehassah kara jaati hai; Guzar jaata hai din yaaroin ki mehfilo me magar, Shaam ko tanhaai bhi saath chhura jaati hai. ©Prabhakar Kumar

#शायरी #hindiurdushayri #lifeshayari #HInidQuotes #lovehsyari  Kabhi kabhi puchhe hai ye dil mera,
Kis tarah ye zindagi basar hogi;
Tamaam umra bhatkenge kya gham ki galiyon me;
Kya hume khushi na mayassar hogi.
Kya koi aisha shakhs ab jahaan me nahi,
Jo hume dil-o-jaan se pyaar kare;
Humsafar ban har ek mod par ho saath mere,
Mere baatoin mere waadoin par aitbaar kare.
Khair chah aur haqiqat me jo fark hai wo,
Ye zindagi har roz ehassah kara jaati hai;
Guzar jaata hai din yaaroin ki mehfilo me magar,
Shaam ko tanhaai bhi saath chhura jaati hai.

©Prabhakar Kumar

Uski ek jhalak ke intezaar me hum hain; Ab talak uske hi pyaar me hum hain. Khushiyon se raabta na hua uske firaaq me; Ek muddat se to gham ke ambaar me hum hain.. Rishte, zajbaat, inshaan, imaan sab sikko par bik gaye; Duniya nahi bas ek bazaar me hum hain. Haal puche hai koi to yahi kahte ho tum Kumar; Haan haan uske ishq ke khumaar me hum hain. ©Prabhakar Kumar

#hindiurdushayri #शायरी #hindi_shayari #loveshayari #ghazal  Uski ek jhalak ke intezaar me hum hain;
Ab talak uske hi pyaar me hum hain.

Khushiyon se raabta na hua uske firaaq me;
Ek muddat se to gham ke ambaar me hum hain..

Rishte, zajbaat, inshaan, imaan sab sikko par bik gaye;
Duniya nahi bas ek bazaar me hum hain.

Haal puche hai koi to yahi kahte ho tum Kumar;
Haan haan uske ishq ke khumaar me hum hain.

©Prabhakar Kumar

Unka zikr ab gazlon me, tum na karo ai Kumar; Ruswa karna bhi kyon ab unhe, wo kishi aur ke ho gaye... ©Prabhakar Kumar

#शायरी #hindiurdushayri #hindi_shayari #loveshayari #sher  Unka zikr ab gazlon me, tum na karo ai Kumar;
Ruswa karna bhi kyon ab unhe, wo kishi aur ke ho gaye...

©Prabhakar Kumar

Jaati dharm ke naam par larte yaha ke log; Insaan ko kaha ab insaan ki fikr hai. Paison ki deewar aa gayi ab rishton ke darmiyaan; Har shaksh ko bas nafe nuksan ki fikr hai. ©Prabhakar Kumar

#शायरी #hindiurdushayri #truthofsociety #hindi_shayari #lifehshayari  Jaati dharm ke naam par larte yaha ke log;
Insaan ko kaha ab insaan ki fikr hai.

Paison ki deewar aa gayi ab rishton ke darmiyaan;
Har shaksh ko bas nafe nuksan ki fikr hai.

©Prabhakar Kumar

Chah humsafar ki humko bhi thi lekin; Humare saath saath koi chala hi nahi. Raah-e-zindagi me kai yaar mile hain Kumar; Dil ki jo peer baante ek bas wahi yaar mila hi nai... ©Prabhakar Kumar

#शायरी #hindi_shayari #hindi_quotes #loveshayari #AkelaMann  Chah humsafar ki humko bhi thi lekin;
Humare saath saath koi chala hi nahi.

Raah-e-zindagi me kai yaar mile hain Kumar;
Dil ki jo peer baante ek bas wahi yaar mila hi nai...

©Prabhakar Kumar

Humko ab kisi se pyaar nahi hai; Kisi ke waadoin par aitbaar nahi hai.. Milte rahte hain kai log hume aajkal; Humari pir baate aisa koi yaar nahi hai. Bayaan karna ho koi bhi rang jeevan ka; Sher-o-sukhan me Ghalib sa kirdaar nahi hai. Har ek zulm par bhi daad de raha hai jo; Kuch aur hi hai wo kalamkaar nahi hai. ©Prabhakar Kumar

#hindiurdushayri #loveshayari #ghazal  Humko ab kisi se pyaar nahi hai;
Kisi ke waadoin par aitbaar nahi hai..

Milte rahte hain kai log hume aajkal;
Humari pir baate aisa koi yaar nahi hai.

Bayaan karna ho koi bhi rang jeevan ka;
Sher-o-sukhan me Ghalib sa kirdaar nahi hai.

Har ek zulm par bhi daad de raha hai jo;
Kuch aur hi hai wo kalamkaar nahi hai.

©Prabhakar Kumar
Trending Topic