Surabhi Shatarupa

Surabhi Shatarupa

  • Latest
  • Popular
  • Video

Dil ne raah dikhayi aur main chal diya. Kitne kaante mile kitne phool mile, iska hisab karne baithta toh shaam hojati. Bas uska haath thama aur chal diya. Manjil ki chahat toh thi par uski ankhon mein kho ke main rasta bhul gaya. Waqt tham gaya aur suraj dhal gaya. ©Surabhi Shatarupa

 Dil ne raah dikhayi aur main
chal diya. Kitne kaante mile kitne phool mile, iska hisab karne baithta toh shaam hojati. Bas uska haath thama aur chal diya. Manjil ki chahat toh thi par uski ankhon
mein kho ke main rasta bhul gaya. Waqt tham gaya aur suraj dhal gaya.

©Surabhi Shatarupa

Dil ne raah dikhayi aur main chal diya. Kitne kaante mile kitne phool mile, iska hisab karne baithta toh shaam hojati. Bas uska haath thama aur chal diya. Manjil ki chahat toh thi par uski ankhon mein kho ke main rasta bhul gaya. Waqt tham gaya aur suraj dhal gaya. ©Surabhi Shatarupa

10 Love

#mystory

#mystory

271 View

Sahi galat ke kuch baxe hai, jinme meri azadi kaid hai. Rehem ki umeed mein, rihai ki arzi laye hai. Kya kehna, kaise rehna se leke kuch gehre bishay hai. Sahi galat ke kuch baxe hai, jinme meri azadi kaid hai. Galti karne ki umar nehi, sahi kaam koi hunar nehi. Tere mere soch ka bhed hai, baxe mein azadi kaid hai. Talwar uthane se darti hoon, maidan mein apne khade hai. Kambakhat kalam ki syahi bhi bagawat se range hai. Ishq ka rang chadha do, sahi galat ki deewar ko gira do. Kyunki, sahi galat ke karagar mein, insaaniyat kaidi hai. ©Surabhi Shatarupa

#guftagoo  Sahi galat ke kuch baxe hai,
jinme meri azadi kaid hai.
Rehem ki umeed mein,
rihai ki arzi laye hai.
Kya kehna, kaise rehna se leke
kuch gehre bishay hai.
Sahi galat ke kuch baxe hai,
jinme meri azadi kaid hai.
Galti karne ki umar nehi,
sahi kaam koi hunar nehi.
Tere mere soch ka bhed hai,
baxe mein azadi kaid hai.
Talwar uthane se darti hoon,
maidan mein apne khade hai.
Kambakhat kalam ki syahi bhi
bagawat se range hai.
Ishq ka rang chadha do,
sahi galat ki deewar ko gira do.
Kyunki, sahi galat ke karagar mein,
insaaniyat kaidi hai.

©Surabhi Shatarupa

#guftagoo

8 Love

Band kamre mein salon bitane ke baad, Laga tha ab sirf deeware hi meri baat sunegi. Gumrah rahon mein bhatakne ke baad, Laga tha tanhaai hi meri manzil banegi. Sard mukhote ke piche insaan khojne ke baad, Laga tha keval nirasha hi haath ayegi. Barson tak sachai ko jhutlane ke baad, Laga tha zindegi aage nehi badh payegi. Hum unn mein se nehi jo patharon mein bhagwan dhoonde... Par laga tha iss janam aapse mulakat nehi hopayegi! ©Surabhi Shatarupa

#guftagoo #talaash  Band kamre mein salon bitane ke baad,
Laga tha ab sirf deeware hi meri baat sunegi.
Gumrah rahon mein bhatakne ke baad,
Laga tha tanhaai hi meri manzil banegi.
Sard mukhote ke piche insaan khojne ke baad,
Laga tha keval nirasha hi haath ayegi.
Barson tak sachai ko jhutlane ke baad,
Laga tha zindegi aage nehi badh payegi.

Hum unn mein se nehi jo patharon mein bhagwan dhoonde... Par laga tha iss janam aapse mulakat nehi hopayegi!

©Surabhi Shatarupa

Jitna ghamand aapko khud pe hai, ki aap bahat achhe hai. Jitna ghamand mujhe khud pe hai, ki main bahat achhi hu. Utna ghamand jis din hume apne rishte pe ho jayega, ki humara rishta duniya mein sabse achha hai, awesome hai! Uss din ke baad se esa koi balah nehi, jo humare rishte ko tod de. Uss din ke baad se har kathinai humare rishte ko, bas aur jyada majbut banane ka kaam karegi. Uss din sahi maino mein aap aur main ek ho jayenge. Aur ye din ayega! Jaldi hi ayega! ©Surabhi Shatarupa

#singh_sahab #guftagoo  Jitna ghamand aapko khud pe hai,
ki aap bahat achhe hai.
Jitna ghamand mujhe khud pe hai,
ki main bahat achhi hu.
Utna ghamand jis din hume apne
rishte pe ho jayega,
ki humara rishta duniya mein sabse
achha hai, awesome hai!
Uss din ke baad se esa koi balah nehi,
jo humare rishte ko tod de.
Uss din ke baad se har kathinai
humare rishte ko,
bas aur jyada majbut banane ka kaam karegi.
Uss din sahi maino mein
aap aur main ek ho jayenge.
Aur ye din ayega! Jaldi hi ayega!

©Surabhi Shatarupa

Aaj kuch khaas hai Tere paas hone ki aas hai Zindegi tasveeron ki guthi nehi Dramatic movie ki climax hai Intermission ke baad se Happy ending ki shuruaat hai Seat belts baandh lo Crash landing ke chance hai Bach gaye by chance se Toh life bindas hai Jyada matt socho Ye toh party ki shuruaat hai ©Surabhi Shatarupa

#guftagoo  Aaj kuch khaas hai
Tere paas hone ki aas hai
Zindegi tasveeron ki guthi nehi
Dramatic movie ki climax hai
Intermission ke baad se
Happy ending ki shuruaat hai
Seat belts baandh lo
Crash landing ke chance hai
Bach gaye by chance se
Toh life bindas hai
Jyada matt socho
Ye toh party ki shuruaat hai

©Surabhi Shatarupa

#guftagoo

7 Love

Trending Topic