White Janam ladke k rup mein hua , magar badan ladki ban ne ko taras rha tha ,
main andar se mayus magar baaki k aakhon se khushi ka aasu baras rha tha ...
bachpan laad pyaar mein bita ,
ladka tha n , papa ko pyaara tha
mummy ka dulara tha ...!!
aadha bachpan bita tb ehsaas hua ye rup mujhe har roz tod rahi hai
lag rha tha jse zindagi har roz mujhse muh mod rahi hai
socha papa bahot pyaar krte hain isliye sbse pehle unhe batana chahiye
tb iss ladke ko kaha malum tha ki aesi baatein kisi se ni batana chahiye
Jb ghut ghut k jeene lga toh socha iss se toh achha h ki ghar chhod k bhaag jana chahiye
kyuki Didi ne sikhaya tha zindagi mein kuch bhi ho jaaye kbhi haar nahi maan na chahiye
zindagi mein phir wo shaam bhi aayi
jb ghar se bhaag kar mumbai chali aayi . !
waha kinnaron ko dekh kar mn khush ho jata tha mera
tb lga ki chalo haan iss duniya mein koi toh hai mera
Maine pet bharne k liye har nukkad har chaurahe pr kaam kiya tha
khud k pet bharne ka shayad tb yhi ek tarika tha
Aur phir wo din aaya jb maine apni zindagi ka sbse kathin faisla liya tha
maine khud k ling parivartan karne ka faisla liya tha
yha aspataal mein main zindagi aur maut se lad rhi thi
apni maa apne pure parivaar ko yaad kar rhi thi
uss din main khud ko puri tarah ladki bna chuki thi
wahi dusri taraf papa k liye main zinda hi mar chuki thi
uske baad maine ye thaan liya tha
iss jahan mein mre alawa koi ni mra iss baat ko maine maan liya tha
Har tufaan har aandhi se khud hi ladna hoga
mujhe ab har kadam har mod pr khud ko sahi saabit krna hoga
khud aesa kaam kiya ki aaj sb logon mein mera zikr hota hai
ye sb dekh kar mujhe khud pr bahot fakr hota hai
Aur Main sawaan ki fizaa khushiyon bhari basant hu
Namaskaar main - "GAURI SAWANT HUN !!"
©ALFAAZ_SHAYAR
Continue with Social Accounts
Facebook Googleor already have account Login Here