Karim Shakir

Karim Shakir

Urdu Poetry,,, From: UP My Instagram 🆔: https/www.instagram.com/karim_shakir_shayari Subscribe My YouTube Channel

https://youtube.com/channel/UCF7DLPN_CEFOKPfLoGv3DJw

  • Latest
  • Popular
  • Video

मिले जो जिंदगी मे बस वही हमारा है किसी भी हाल मे करना हमे गुज़ारा है सफर मे जिंदगी के तुम न हारना हिम्मत कि हौसला हो तो हर ग़म का इक किनारा है ©Karim Shakir

#شاعری۔ #LastNight #patience  मिले जो जिंदगी मे बस वही हमारा है
किसी भी हाल मे करना हमे गुज़ारा है

सफर मे जिंदगी के तुम न हारना हिम्मत
कि हौसला हो तो हर ग़म का इक किनारा है

©Karim Shakir

#patience #shayari #LastNight

11 Love

Bah Ke Aankhon Se Bane Ashk Samandar Kitne Humne Dekhe Hain Sulagte Hue Manzar Kitne Yun To Muskate Hain Chahre Se Magar Dekho To Apne Seene Me Liye Phirte Hain Khanjar Kitne ©Karim Shakir

#شاعری۔ #Luminance  Bah Ke Aankhon Se Bane Ashk Samandar Kitne
Humne Dekhe Hain Sulagte Hue Manzar Kitne
Yun To Muskate Hain Chahre Se Magar Dekho To
Apne Seene Me Liye Phirte Hain Khanjar Kitne

©Karim Shakir

#sad😔 #Love #Dard_e_dil #Luminance

10 Love

Mohabbat Ke Safar Me Ek Din Aisa Bhi Aayega Jise Tum Chahte Ho Tumse Wo Nazren Churayega ©Karim Shakir

#karimshakir #sagarkinare #mohabbat #محبت  Mohabbat Ke Safar Me Ek Din Aisa Bhi Aayega
Jise Tum Chahte Ho Tumse Wo Nazren Churayega

©Karim Shakir

Dil men uthte hue jazbat se dar jate hain Zahn men palte khayalat se dar jate hain Hum to tufanon se ladne ka hunar rakhte the Aaj kya bat hai har bat se dar jate hain Ghair jo zakhm de to zakhm bhi sah lete hain Hum magar apnon ki saughat se dar jate hain Dard sahne ki humen ho gayi aadat ab hum Chain o rahat se bhari rat se dar jate hain Zjndagi azm o himmat se humen jeeni thi Hum magar roz ki aafat se dar jate hain Rab ki ik zat se darna hai zaroori lekin Chhod ke us ko har ik zat se dar jate hain Ek rab ka na raha dil men taqaddus Shakir Is liye qabr o mazarat se dar jate hain ©Karim Shakir

#karim_shakir #Drops  Dil men uthte hue jazbat se dar jate hain
Zahn  men  palte  khayalat  se  dar  jate  hain

Hum to tufanon se ladne ka hunar rakhte the
Aaj  kya  bat  hai  har  bat se dar jate hain

Ghair jo zakhm de to zakhm bhi sah lete hain
Hum  magar apnon ki saughat se dar jate hain

Dard  sahne  ki  humen  ho  gayi  aadat  ab  hum
Chain o rahat se bhari rat se dar jate hain

Zjndagi azm o himmat se humen jeeni thi
Hum  magar  roz ki aafat se dar jate hain

Rab  ki  ik  zat  se  darna hai zaroori lekin
Chhod ke us ko har ik zat se dar jate hain

Ek rab ka na raha dil men taqaddus Shakir
Is liye qabr o mazarat se dar jate hain

©Karim Shakir

Doodh ka is jahan men dُhula kaun hai Sab gunahgar hain aayina kaun hai Chhod kar yeh jshan sab chale jayen ge Maut barhaq hai us se bacha kaun hai Apni khushiyon ki chahat hai sab ko magar Doosron ki khushi chahta kaun hai Dil jigar jan sab kuchh jise de diya Main nahin janta wo mera kaun hai Manzilon ki talab hai sabhi ko magar Poori shiddat se aage badha kaun hai Nafsi nafsi ka aalam hai barpa yahan Sab hain apne yahan par tera kaun hai Zakhm par zakhm deta hai Shakir mujhe Hoga apna koi doosra kaun hai ©Karim Shakir

#karimshakir #rayofhope  Doodh ka is jahan men dُhula kaun hai
Sab   gunahgar   hain   aayina   kaun   hai

Chhod kar yeh jshan sab chale jayen ge
Maut  barhaq  hai  us  se bacha kaun hai

Apni khushiyon ki chahat hai sab ko magar
Doosron   ki   khushi   chahta   kaun  hai

Dil jigar jan sab kuchh jise de diya
Main   nahin   janta   wo  mera  kaun  hai

Manzilon ki talab hai sabhi ko magar
Poori  shiddat  se aage badha kaun hai

Nafsi nafsi ka aalam hai barpa yahan
Sab hain apne yahan par tera kaun hai

Zakhm par zakhm deta hai Shakir mujhe
Hoga  apna  koi  doosra  kaun  hai

©Karim Shakir

gulshan hai pareshan koi baat hui kya? Sooraj bhi hai hairan koi baat hui kya? baghon ke Sabhi phool hi murjhaye hue hain kaliyan bhi hain halkan koi baat hui kya? ©Karim Shakir

#karimshakir #Death  gulshan hai pareshan koi baat hui kya?
Sooraj bhi hai hairan koi baat hui kya?
baghon ke Sabhi phool hi murjhaye hue hain
kaliyan bhi hain halkan koi baat hui kya?

©Karim Shakir
Trending Topic