alfaze.ruuh

alfaze.ruuh

follow for follow back. Follow on Instagram for more such amazing content.

https://instagram.com/alfaz_e_ruuh?igshid=56ztctkfs36w

  • Latest
  • Popular
  • Repost
  • Video

Zindagi ke safar me kon sath nibhata hai, Koi manzil paas, koi door banata hai Guzarte hain ek sehra se sab saath me, Koi kuan khodta hai, koi qabr banata hai. Hai dar kahin gum na ho jaaun is safar me, Jisse pucho woh raasta galat batata hai. Jab tak ho saahil par aasmaan se ladta hai, Jo fanse toofan me toh khuda ko bulata hai. Hai yeh ek dariya jo humse paar nahin hota, Saahil tak pahunchne ka dar hume dubaata hai. Yaqeen karo mera nahin kuch aasmaan ke oopar, Tu kis aas me zameen ka ghar jalata hai. Is arsh ko itna dil se bhi na laga "shahzad", kuch din me logon ka chaand badal jaata hai. ©alfaze.ruuh

#OneSeason  Zindagi ke safar me kon sath nibhata hai,
Koi manzil paas, koi door banata hai

Guzarte hain ek sehra se sab saath me,
Koi kuan khodta hai, koi qabr banata hai.

Hai dar kahin gum na ho jaaun is safar me,
Jisse pucho woh raasta galat batata hai.

Jab tak ho saahil par aasmaan se ladta hai,
Jo fanse toofan me toh khuda ko bulata hai.

Hai yeh ek dariya jo humse paar nahin hota,
Saahil tak pahunchne ka dar hume dubaata hai.

Yaqeen karo mera nahin kuch aasmaan ke oopar,
Tu kis aas me zameen ka ghar jalata hai.

Is arsh ko itna dil se bhi na laga "shahzad",
kuch din me logon ka chaand badal jaata hai.

©alfaze.ruuh

#OneSeason Harlal Mahato Amita Tiwari

15 Love

ऐसा नहीं, वाकिफ नहीं! सबकी सीरत से हम, फिर भी इस दिल को बुरा बार बार लगता है। ©alfaze.ruuh

#लाइफ #Heart  ऐसा नहीं, वाकिफ नहीं! सबकी सीरत से हम,
फिर भी इस दिल को बुरा बार बार लगता है।

©alfaze.ruuh

Madhosh rahe hum, teri kaifiyat me arson, Ab har lamha woh kaifiyat bhulane k liye jai. Qaid hain ab bhi hum, tere qafas-e-ishq me , Yeh rihai ke kaagaz, bas dikhane ke liye hain Kyn shikwah kare hum, kyn malaal me raho tum, Kahan likha hai, ishq ta-umr nibhane ke liye hai Subah uthte hi utar jaaega saara nasha raat ka, ab saara moamla, is neend ko barhane k liye hai. simat jaati ho tum ab gair ki baahon me aksar, yeh nayi mohabbat kya, purana ishq chupane ke liye hai? kami nahin hume bhi kisi hoor ya kisi pari ki, tumse ab tak raabta, faqat woh qasam nibhane ke liye hai. Kitna bhatka is raah-e-mohabbat par "shahzad" Ab yeh tanha raasta, ghar jaane ke liye hai. ©alfaze.ruuh

#kaifiyat  Madhosh rahe hum, teri kaifiyat me arson,
Ab har lamha woh kaifiyat bhulane k liye jai.

Qaid hain ab bhi hum, tere qafas-e-ishq me ,
Yeh rihai ke kaagaz, bas dikhane ke liye hain

Kyn shikwah kare hum, kyn malaal me raho tum,
Kahan likha hai, ishq ta-umr nibhane ke liye hai

Subah uthte hi  utar jaaega saara nasha raat ka,
ab saara moamla, is neend ko barhane k liye hai.

simat jaati ho tum ab gair ki baahon me aksar,
yeh nayi mohabbat kya, purana ishq chupane ke liye hai?

kami nahin hume bhi kisi hoor ya kisi pari ki,
tumse ab tak raabta, faqat woh qasam nibhane ke liye hai.

Kitna bhatka is raah-e-mohabbat par "shahzad"
Ab yeh tanha raasta, ghar jaane ke liye hai.

©alfaze.ruuh

#kaifiyat Riyashaikh Harlal Mahato Amita Tiwari @Dishant self

15 Love

Betabeer sawalon ke peeche kyn jaaya jaaye, khuda ko insaanon ke beech kyn laaya jaaye. Kya itna kaafi nahin ke tu mar jaaega ek din, Teri ana todne ko, aur kya batalaya jaaye. Rahi rooh ghulam bankar arson arsh par, Faqat jism pahnkar ab kyn itraya jaaye. Maang kar apni hifazat ki dua khuda se, Fir Uski hifazat ka naara kyn lagaya jaaye. Uski deen-o-duniya hai khtm kar dega woh ek din, Aukat-e-insaan itni hai, bas sar jhukaya jaaye. Kya kaha kisi ko maar kar jannat milegi, Ab kisiko itna khaas bhi na banaya jaaye. Haseen hote hain insaan-o-mohabbat ke kisse, in kisson ko bas dil rakhne ke liye sunaya jaaye ©alfaze.ruuh

#world #jism  Betabeer sawalon ke peeche kyn jaaya jaaye,
khuda ko insaanon ke beech kyn laaya jaaye.

Kya itna kaafi nahin ke tu mar jaaega ek din,
Teri ana todne ko, aur kya batalaya jaaye.

Rahi rooh ghulam bankar arson arsh par,
Faqat jism pahnkar ab kyn itraya jaaye.

Maang kar apni hifazat ki dua khuda se,
Fir Uski hifazat ka naara kyn lagaya jaaye.

Uski deen-o-duniya hai khtm kar dega woh ek din,
Aukat-e-insaan itni hai, bas sar jhukaya jaaye.

Kya kaha kisi ko maar kar jannat milegi,
Ab kisiko itna khaas bhi na banaya jaaye.

Haseen hote hain insaan-o-mohabbat ke kisse,
in kisson ko bas dil rakhne ke liye sunaya jaaye

©alfaze.ruuh

Nikal kar kucha-e-yaar se, dil bhar gaya hoga, Jab tanha raat me woh apne ghar gaya hoga. Aasaan nahin yaar ko mustakil vida karna. Koi ummeed liye dil me, aage brh gaya hoga. Junoon-e-ishq me kar di hogi usne bagawat, Fir junoon-e-ishq se bahut dar gaya hoga. Andhera hoga zindagi me kabhi musalsal, Kisi paathar par pair padh gaya hoga. Liye dil me gubaar itna toota hoga woh, Raat me fir aasmaan se lad gaya hoga. Woh samudra ke khwaab liye aankhon me, Kisi jheel me doob kar mar gaya hoga. Kar liya hoga sabr yeh sochkar 'shahzad', Kisi aur ki mohabbat me parh gaya hoga. ©alfaze.ruuh

#शायरी #feelings #Broken #lover  Nikal kar kucha-e-yaar se, dil bhar gaya hoga,
Jab tanha raat me woh apne ghar gaya hoga.

Aasaan nahin  yaar ko mustakil vida karna.
Koi ummeed liye dil me, aage brh gaya hoga.

Junoon-e-ishq me kar di hogi usne bagawat,
Fir junoon-e-ishq se bahut dar gaya hoga.

Andhera hoga zindagi me kabhi musalsal,
Kisi paathar par pair padh gaya hoga.

Liye dil me gubaar itna toota hoga woh,
Raat me fir aasmaan se lad gaya hoga.

Woh samudra ke khwaab liye aankhon me,
Kisi jheel me doob kar mar gaya hoga.

Kar liya hoga sabr yeh sochkar 'shahzad',
Kisi aur ki mohabbat me parh gaya hoga.

©alfaze.ruuh

Zindagi bezaar ki meri, aur malaal nahin kiya. Iilzaam tha mujhpar, maine salaam nahin kiya. Jab jab aasmaan par uska bas na chala, Tab tab usne gussa zameen par nikal diya. Jab woh taqt bata rha tha khud ko kursi arsh ki, Sab sajde me the aur maine kankar maar dia. Tere guroore-e-bayan ne mera kya ehteram kia? na lahje ki laaj rakhi, na lafzon ka lihaaz kiya. Itne andhe nahin hote log ke saazish ko na samjhe, Kuch khaamosh the smjhkar, aur kuch ne inkaar kia. Sabne haami bhari miyad-e-soch ke farmaan par, Maine meeyad-e-alfaaz ka bhi lihaaz nahin kia. Laraib khuda bhahut raheem hai,tu nahi "shahzad". Usne is jahaan ko ab tak halaaq nahin kiya. ©alfaze.ruuh

#opression #destroy  Zindagi bezaar ki meri, aur malaal nahin kiya.
Iilzaam tha mujhpar, maine salaam nahin kiya.

Jab jab aasmaan par uska bas na chala,
Tab tab usne gussa zameen par nikal diya.

Jab woh taqt bata rha tha khud ko kursi arsh ki,
Sab sajde me the aur maine kankar maar dia.
 
Tere guroore-e-bayan ne mera kya ehteram kia?
na lahje ki laaj rakhi, na lafzon ka lihaaz kiya.

Itne andhe nahin hote log ke saazish ko na samjhe,
Kuch khaamosh the smjhkar, aur kuch ne inkaar kia.

Sabne haami bhari miyad-e-soch ke farmaan par,
Maine meeyad-e-alfaaz ka bhi lihaaz nahin kia.

Laraib khuda bhahut raheem hai,tu  nahi "shahzad".
Usne is jahaan ko ab tak halaaq nahin kiya.

©alfaze.ruuh

#opression #destroy @Harlal Mahato Amita Tiwari

32 Love

Trending Topic