Gargi Banerjee

Gargi Banerjee

A philomath

  • Latest
  • Popular
  • Video

White Mohabbat se yaadon k nishaan mitati rahi raat bhar, Nishaan par jalti huwi shama bujhati rahi raat bhar.. Jin aansuon ko aankhein judaa na kar saki, Syaahi bankar kagaaz par behti rahi raat bhar... Ek muddat baad ghar ko nikla tha raahi, Sadke unhi raaston par bhatkati rahi use raat bhar... Jasbaaton ki numaish aur zakhmon ka bazaar, Lafzon ki dukaan par khariddar ulajhati rahi raat bhar, Har ek chaand ko raat mukkammal nahi yaahan, Khubsurat mehfilon mein tanhaayi sajti rahi raat bhar... Aur ek zamaana tha jab yeh sher-o-shayari ki duniya, Apna liya karti thi mujhe, Khali kagaaz ko kahaani sunati rehe gayi raat bhar... ©Gargi Banerjee

#goodnightimages #sheroshayari #Trending #viral  White  Mohabbat se yaadon k nishaan mitati rahi raat bhar,
Nishaan par jalti huwi shama bujhati rahi raat bhar..

Jin aansuon ko aankhein judaa na kar saki,
Syaahi bankar kagaaz par behti rahi raat bhar...

Ek muddat baad ghar ko nikla tha raahi,
Sadke unhi raaston par bhatkati rahi use raat bhar...

Jasbaaton ki numaish aur zakhmon ka bazaar,
Lafzon ki dukaan par khariddar ulajhati rahi raat bhar,

Har ek chaand ko raat mukkammal nahi yaahan,
Khubsurat mehfilon mein tanhaayi sajti rahi raat bhar...

Aur ek zamaana tha jab yeh sher-o-shayari ki duniya,
 Apna liya karti thi mujhe,
Khali kagaaz ko kahaani sunati rehe gayi raat bhar...

©Gargi Banerjee

Shab k andheron ko seher tak jalakar likha, Lafz bikhar gaye toh khamoshi sajaa kar likha.. Khayalon k badal toh ghume phirte rahe tufano mein, Theher jaane ki khatir gham ko barsaakar likha... Nasha sirf jaam mein hai, yeh ghalat fehmi hai tumhari, Dard ko khubsoorti k nashe mein humne dubakaar likha.. Vaadon k mehel behe gaye bemausam barsaton mein, Ummeed ka adhoora alfaaz zamana aazmakar likha... Khat padhe rahein kone mein jab likha unhe jazbaaton se, Samajhdaaron k khaatir alfazo se unhe sajaakar likha.... Aur kab tak samete rakhti yeh zakhmi kalaiyi,himmat ko? Zakhmon se behte khoon ko syaahi banakar likha... ©Gargi Banerjee

#trending  #viral #ishq  Shab k andheron ko seher tak jalakar likha,
Lafz bikhar gaye toh khamoshi sajaa kar likha..

Khayalon k badal toh ghume phirte rahe tufano mein,
Theher jaane ki khatir gham ko barsaakar likha...

Nasha sirf jaam mein hai, yeh ghalat fehmi hai tumhari,
Dard ko khubsoorti k nashe mein humne dubakaar likha..


Vaadon k mehel behe gaye bemausam barsaton mein,
Ummeed ka adhoora alfaaz zamana aazmakar  likha...

Khat padhe rahein kone mein jab likha unhe jazbaaton se,
Samajhdaaron k khaatir alfazo se unhe sajaakar likha....

Aur kab tak samete rakhti yeh zakhmi kalaiyi,himmat ko?
Zakhmon se behte khoon ko syaahi banakar likha...

©Gargi Banerjee

Na manzoor hai agr tujhe milna, Toh chal hum judaa ho jaatein hain.. Mohabbat na kabool hai agr tujhe yeh, Toh chal is bandhan se aaj tujhe aazad karte hain... Yeh umra bhar ka intezar,yeh befizool k aansoon kyun? Chal, is safar ko yaheen tak ka rakhte hain.... Zamaane k khateer yeh jabr bhi seh lete hai, Jo sapne sajaye the dono ne, Aa mil kar aaj use todh dete hain... Chal, ye dil ko samjha lein, Is safar mein koi humsafar nahi milna, Aur kabhi na deedar hoga tera, Is sach ko chal aaj aakhir maan he lete hain... Jaam ka glass liye, Yeh shaam aaj ek dusre k yaad mein bitatein hain.... Nahi jaata mai tere sheher, na aana tu ab meri gali, Raste hum aaj alag kar lete hain, Chal judaa ho jaatein hain.... ©Gargi Banerjee

#Gulzarsahab #trending  #shayaari #viral  Na manzoor hai agr tujhe milna,
Toh chal hum judaa ho jaatein hain..

Mohabbat na kabool hai agr tujhe yeh,
Toh chal is bandhan se aaj tujhe aazad karte hain...

Yeh umra bhar ka intezar,yeh befizool k aansoon kyun?
Chal, is safar ko yaheen tak ka rakhte hain....

Zamaane k khateer yeh jabr bhi seh lete hai,
Jo sapne sajaye the dono ne,
Aa mil kar aaj use todh dete hain...

Chal, ye dil ko samjha lein,
Is safar mein koi humsafar nahi milna,
Aur kabhi na deedar hoga tera,
Is sach ko chal aaj aakhir maan he lete hain...

Jaam ka glass liye,
Yeh shaam aaj ek dusre k yaad mein bitatein hain....

Nahi jaata mai tere sheher, na aana tu ab meri gali,
Raste hum aaj alag kar lete hain,
Chal judaa ho jaatein hain....

©Gargi Banerjee

Lafzon ki bojh se thak jaati hai zabaan, Pata nahi khamoshi majboori hai ya tanhaai... Zara ye dhup dhal jaaye toh haal puchenge, Yahaan kuch saaye khud ko khuda bataatein hai... Khadkate rehna ehsaason k darwaaze, Mulakaatein na sahi,aahatein toh zinda rahengi.... Hasratein aaj bhi khat likhti hai humein, Magar ab hum puraane pate par rehte nahi... Saath saath ghumte hai hum raaton ko ajkal, Log hume awaara aur use chaand kehte hai... ©Gargi Banerjee

#MoonShayari  Lafzon ki bojh se thak jaati hai zabaan,
Pata nahi khamoshi majboori hai ya tanhaai...

Zara ye dhup dhal jaaye toh haal puchenge,
Yahaan kuch saaye khud ko khuda bataatein hai...

Khadkate rehna ehsaason k darwaaze,
Mulakaatein na sahi,aahatein toh zinda rahengi....

Hasratein aaj bhi khat likhti hai humein,
Magar ab hum puraane pate par rehte nahi...

Saath saath ghumte hai hum raaton ko ajkal,
Log hume awaara aur use chaand kehte hai...

©Gargi Banerjee

#MoonShayari

14 Love

Lafzon ki bojh se thak jaati hai zabaan, Pata nahi khamoshi majboori hai ya tanhai... Zara ye dhoop dhal jaaye toh haal puchenge, Yahaan kuch saaye khud ko khuda batatein hai... Khadkate rehna ehsaason k darwaaze, Mulakaatein na sahi,aahatein toh zinda rahengi.... Hasratein aaj bhi khat likhti hai humein, Magar ab hum puraane pate par nahi rehte... Saath saath ghumte hai hum dono raaton ko ajkal, Log hume awaara aur use chaand kehte hai... ©Gargi Banerjee

#sheroshayri #Glazing #trend #viral  Lafzon ki bojh se thak jaati hai zabaan,
Pata nahi khamoshi majboori hai ya tanhai...

Zara ye dhoop dhal jaaye toh haal puchenge,
Yahaan kuch saaye khud ko khuda batatein hai...

Khadkate rehna ehsaason k darwaaze,
Mulakaatein na sahi,aahatein toh zinda rahengi....

Hasratein aaj bhi khat likhti hai humein,
Magar ab hum puraane pate par nahi rehte...

Saath saath ghumte hai hum dono raaton ko ajkal,
Log hume awaara aur use chaand kehte hai...

©Gargi Banerjee

Bade uljhan mein hoon aajkal.. Dil mein sawaal hain jo poochti hoon baar baar khudse aajkal... Is dil ko kyun nahi pata ki kya rishta hai iska tumse? Agar ishq hai toh kyun hai tumse? Tum mein kya kya hai jo mujhe lubhaata hai, Kyun tum itne haseen lagte ho? Aankhon mein neend nahi, Kyun raaton ko jagti rehti hoon? Kyun har dafaa,har dua mein mere tum shaamil ho? Koi bhi rishta paane ki talab na liye, Phir bhi har bar khuda se tumhe mangna kyun accha lagta hai? Sare dilkash chehron ki bheed mein Kyun tum pe he aake ye nazar rukti hai? Jab bhari mehfilo mein ishq ka zikr hota hai To tumhara he naam kyun bar bar zubaan pe aata hai? Aur jab jab tum puchte ho ki kyun mohabbat hai mujhe tumse? Kya jawaab doon mai is sawaal ka Yeh soch soch kar kyun dil ulajh sa jaata hai? Mere liye toh tum he mera sawaal ho or tum he jawaab. Mere kahaani ka toh tum he ibtida ho or tum he aakhir... Tumse pyaar karna sahi hai ya nahi, nahi maloom, Par is ehsaas mein jeena ab accha lagta hai... Aisi koi lafz nahi jo mera ishq piro sake, Bas isiliye ab khamosh rehna accha lagta hai.... ©Gargi Banerjee

#Trending #hugday #ishq  Bade uljhan mein hoon aajkal..
Dil mein sawaal hain jo poochti hoon baar baar khudse aajkal...

Is dil ko kyun nahi pata ki kya rishta hai iska tumse?
Agar ishq hai toh kyun hai tumse?

Tum mein kya kya hai jo mujhe lubhaata hai,
Kyun tum itne haseen lagte ho?
Aankhon mein neend nahi,
Kyun raaton ko jagti rehti hoon?

Kyun har dafaa,har dua mein mere tum shaamil ho?
Koi bhi rishta paane ki talab na liye,
Phir bhi har bar khuda se tumhe mangna kyun accha lagta hai?

Sare dilkash chehron ki bheed mein 
Kyun tum pe he aake ye nazar rukti hai?
Jab bhari mehfilo mein ishq ka zikr hota hai 
To tumhara he naam kyun bar bar zubaan pe aata hai?

Aur jab jab tum puchte ho ki kyun mohabbat hai mujhe tumse?
Kya jawaab doon mai is sawaal ka 
Yeh soch soch kar kyun dil ulajh sa jaata hai?

Mere liye toh tum he mera sawaal ho or tum he  jawaab. 
Mere kahaani ka toh tum he ibtida ho or tum he aakhir...

Tumse pyaar karna sahi hai ya nahi, nahi maloom,
Par is ehsaas mein jeena ab accha lagta hai...

Aisi koi lafz nahi jo mera ishq piro sake,
Bas isiliye ab khamosh rehna accha lagta hai....

©Gargi Banerjee
Trending Topic